Thursday, April 29, 2010


Kya woh din theh...

Maa ki goed aur papa k kandhe....

Aaj yaad aa rahe hain....

Sab kuch chhuta jo peeche....

Rote rote wo so jaana...

Khud se baatein karna....

Kho jaana......

Woh maa ko aawaz lagaana....

Khaana haathon se khilaana...

Woh din bhar paa ka rasta dekhna...

Zid poori hone ka intezaar karna.......

Kya woh din theh bachpan ke suhaane....

Kyon itne durr sab kuch ho gaye....

Ab zid bhi apni...

Sapne b apne...

Kis se kahe kya chahiye....

Manzilon ko dhundte hue hi kho gaye...

Kyon itne bade ho gaye.....???

2 comments:

  1. Na bade hue hai din hamare... na hi badi hui hai zidd.. bas kuch sapne the jo adhure.. unko pure karne ki baat hai... ab baaki bachi hai dil ki baat.. ki aasmaan bhi apna hai... aur manxile bhi apni hai :)

    ReplyDelete
  2. very touching poem Madhu n the comment above is also true :). gud 1

    ReplyDelete